歌词
Dekha tune, Dekha maine,
Chori chori yun toh sau dafan,
Haan, Sau dafan.
Jeele thoda, Ho na jaaye,
Baaton baaton mein hi yun subha,
Haan, Yun subha.
Sau baaton ki baat hai ek main hu tera,
Toh kya sochna?
Koi karke bahana,
Aajana, Mere kareeb.
Koi karke bahana,
Aajana, Mere kareeb.
Aaya tu jabse nazron mein,
Maine fir khwab dekha na.
Hoga kal se ye khabron mein,
Teri haan ki bachi hain deriyaan.
Tu rehega mere zikron mein,
Ab kabhi koi hoga na.
Keh na paau chaahe lafzon mein,
Phir bhi karta rahunga main bayaan.
Tu chaahiye,
Baaki kar li hai maine saari,
Taiyaariyaaan.
Koi karke bahana,
Aajana, Mere kareeb.
Koi karke bahana,
Aajana, Mere kareeb.
Aajana mere kareeb.
Aajana, Aajana,
Aajana mere kareeb.
Aajana
Mere kareeb.
专辑信息
1.Kareeb