歌词
Mar bhi gaya agar
Marne ka gham nahin
Dekh zara mera hausla
Mujhko dara sakey
Tujhme woh dum nahin
Sun le jahaan mera faisla
Jhuk na paunga bhaley mitt jaunga
Jhuk na paunga bhaley mitt jaunga
Jab tak meri rag mein lahu ki dhaar hai
Tab tak tera har be-asar hathiyaar hai
Maana ki parchaai bhi
Hui hai juda
Magar mere saath hai
Mera Khuda
Tinke zameer ke
Itne bhi kam nahi
Bunn na sakey
Firse ghosla
Mujhko dara sake
Tujhme woh dum nahin
Sun le jahaan mera faisla
Jhuk na paunga bhaley mitt jaunga
Jhuk na paunga bhaley mitt jaunga
Jhuk na paunga bhaley mitt jaunga
Jhuk na paunga bhaley mitt jaunga
Toofaan mein jalti hui shamma hoon main
Jo waqt se bhidjaaye wo lamha hun main
Toofaan mein jalti hui shamma hoon main
Jo waqt se bhidjaaye wo lamha hun main
专辑信息
1.Sanu Ek Pal Chain
2.Jhuk Na Paunga
3.Nit Khair Manga
4.Black