歌词
Kabhi Kabhi mujhe lagta hai ki main akela hoon,
Saari duniya ujaala hai aur main andhera hoon
Kabhi Kabhi mujhe lagta hai ki main akela hoon,
Ik soch ne paala hai ki main savera hoon
Par kya, hota agar yeh sach hota
Zyada nibhata main, kam farj hota
Par kya, hota agar yeh sach hota
Zyada kamaata main, kam kharch hota
2 X
Kabhi Kabhi mujhe lagta hai ki main akela hoon,
Saari duniya ujaala hai aur main andhera hoon
Aao na, iss raat mere paas,
kyunki main akela hoon
Door kahin, jahan koi mujhe jaane na pehechane na,
main jaaon vahan
Aansu bhi aankon se bahakar tum mita dena
jaise main kabhi bhi na tha
Par kya hota agar main khush hota
lafzon se zyada main mehsoos hota
Aur kya hota agar yeh sach hota
aasaan hota sab, dil khush bhi hota,
tu jo hota
2 X
Kabhi Kabhi mujhe lagta hai ki main akela hoon,
Saari duniya ujaala hai aur main andhera hoon
Aao na, iss raat mere paas,
kyunki main akela hoon
Aao na, iss raat mere paas,
kyunki main
专辑信息
1.Akela