歌曲 / 歌词

O Saiyyan

Roop Kumar RathodAjay-AtulListen on Apple Music

歌词

Meri adhoori kahaani
Lo daastaan bann gayi
Ho tune chhuaa aaj aise
Main kya se kya ban gaya
Sehme huey sapne mere haule haule
Angdaiyaan le rahe
Thehre huey lamhe mere nayi nayi
Gehraiyaan le rahe
Zindagi ne pehni hai muskaan
Karne lagi hai itna karam kyun na jaane
Karvat lene lage hai armaan phir bhi hai
Aankh num kyun naa jaane o saiyyan
Odhu teri kaaya
Solah sigaar main saja loon
Sangam ki ye raina isme tyonhar main mana loom
Khushboo teri choo ke kastoori main ho jaaun
Kitni pheeki thi main sindoori main ho jaaun
Sur se zara behki huyi meri
Duniya thi badi be suri
Sur mein tere dhalne lagi
Bani re piya main bani baansuri
Zindagi ne pehni hai muskaan
Karne lagi hai itna karam kyun na jaane
Karvat lene lage hai armaan phir bhi hai
Aankh num kyun naa jaane o saiyyan
Mere aasmaan se jo hamesha gumshuda thay
Chaand taare tune garrdishon ki lay badal di
Laut aaye aaj saare
O saiyyan

更多歌手作品

专辑信息

I Love You...Forever →
  1. Tere Naina
  2. Sajdaa
  3. Mere Bina
  4. Saibo
  5. Sunlo Zara
  6. Aromale (My Beloved)
  7. Hosanna
  8. O Saiyyan
  9. Iktara
  10. Khabar Nahi
  11. Aankhon Mein Neendein
  12. Achha Lagta Hai
  13. Dil Ibaadat
  14. Bin Tere
  15. Abhi Mujh Mein Kahin
  16. Le Jaa Tu Mujhe
  17. Isq Risk
  18. Teri Justajoo (Saaware)
  19. Tu Hi Haqeeqat