歌曲 / 歌词

Shwet (From "Ashok Vatika")

Sameer RahatShailey BidwaikarListen on Apple Music

歌词

Seedhi Saadhi kauri si,
Neend bhi na aaye,
Nadiya behti jaaye phir bhi,
Saawan bhi na aaye,
Kaaga baitha aangne mai,
phir bhi tu naa aaye,
Rang meri maang mai,
Shwet he reh jaaye.
Kadmo ki ye thaap dekho,
Maati ko sataaye,
Taaro se ye dhani paayal,
Bikharti he jaaye,
Aanchal se chaabi ki uljhi,
gaanth khulti jaaye,
Rang meri maang mai,
Shwet he reh jaaye.
Ram Ravan ki katha ka,
Saar sita kyun aaye,
Raas man ka, Rang tan ka,
Vyang ye batlaaye.
Seedhi Saadhi kauri si,
Neend bhi na aaye,
Nadiya behti jaaye phir bhi,
Saawan bhi na aaye,

更多歌手作品

专辑信息

Shwet (From "Ashok Vatika") →
  1. Shwet (From "Ashok Vatika")