Janam Janam Jo Sath Nibhaye

歌词
Janam janam jo sath nibhaye ek aisa bandhan ban jao
Mai ban jau pyar bhara dil, mai ban jau pyar bhara dil
Tum dil ki dhadkan ban jao, tum dil ki dhadkan ban jao

Mai ban jau pyar bhara dil, tum dil ki dhadkan ban jao
Tum dil ki dhadkan ban jao
Jab jab dekhu tumko dekhu yu bas jao ankho me
Yu bas jao ankho me
Jab jab dekhu tumko dekhu yu bas jao ankho me
Mai chehra ban jau tumhara, mai chehra ban jau tumhara
Tum mera darpan ban jao, tum mera darpan ban jao
Janam janam jo sath nibhaye ek aisa bandhan ban jao
Ek aisa bandhan ban jao
Ek duje me aao chalo hum aise aaj sama jaye
Aise aaj sama jaye
Ek duje me aao chalo hum aise aaj sama jaye
Mai ban jaau sans tumhari, mai ban jaau sans tumhari
Tum mera jiwan ban jao, tum mera jiwan ban jao
Janam janam jo sath nibhaye ek aisa bandhan ban jao
Mai ban jau pyar bhara dil, mai ban jau pyar bhara dil
Tum dil ki dhadkan ban jao, tum dil ki dhadkan ban jao
专辑信息
1.Janam Janam Jo Sath Nibhaye